Meri Tehreer K Aansoo
Suna hoga bohat tum ne
Kahin aankhon ki rim jhim ka
Kahin palkon ki shabnam ka
Parha hoga bohat tumne
Kahin lehjey ki baarish ka
Kahin saagar k aansoo ka
Magar tumne kabhi humdam
Kahin dekhey? kahin parkhey?
Kisi tehreer k aansoo???
Mujhey teri judaaii ne
Yehi mai'raaj bakhshi hai
Keh main jo lafz likhti hun
Voh saarey lafz rotey hain
Keh main jo harf bunti hun
Voh saarey bain kartey hain
Merey sang is judaai main
Merey alfaaz martey hain
Sabhi ta'reef kartey hain
Meri tehreer ki lekin
Kabhi koi nahin sunta
Merey alfaaz ki siski
Falak bhi jo hilaa daaley
Merey lafzon main hain shaamil
Usii taaseer k aansoo
Kabhi dekho merey humdam
Meri tehreer k aansoo...!!!
Labels: Sad Poetry
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home