Udas raatein hain
Udas raatein hain, khuwab saaray ujarr chukay hain
Hai aankh veeran k sab nazaray ujarr chukay hain
Meri zameen pe gulon k chehray jhulas gaye hain
Meray falak k wo chaand taaray ujarr chukay hain
Jo meray aansu shumar kertay, jo pyar kertay
Wafa k paiker, sabhi sahaaray ujarr chukay hain
Ab aankh darya mein koi toofan nahe uthay ga
Meri nigahon k sab kinaaray ujarr chukay hain
Tumhari shokhi gaye dinon ka hisaab maangay
Tumhein khabar hai k ghum k maaray ujarr chukay hain
Jo bhaid seenon mein thay kabhi, be_amaan huay hain
Jo raaz honton pe thay humaray, ujarr chukay hain
Ye waqt bhi khaa gaya hai kitni mohabaton ko
Qamar jawan thay jo yaar saaray, ujarr chukay hain...
.Hai aankh veeran k sab nazaray ujarr chukay hain

Labels: Ghazals
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home