Mai jab bhi yaad ki shammay jala k rakhti hoo'n
Mai jab bhi yaad ki shammey jala k rakhti hoo'n
Ye meri zidd hai k aagey hawa k rakhti hoo'n
Mai tut sakti hoo'n lekin mai jhukk nahee sakti
Shikast e zaat mai pehloo anaa k rakhti hoo'n
Wo badba'n hai agar kashti e mohabbat ka
Mai badbaan se rishtey hawa k rakhti hoo'n
Nahee'n hai ghar mai teri yaad k alaawa kutch
To kiss k samney chaye bana k rakhti hoo'n
Tumharey khatt hain mehktey ghulab ki manind
Wo aur khiltey hain jitna chhupa k rakhti hoo'n
Jo kehna chahti hoo'n wo to keh nahee paati
Zuba'n pe tazkarey aab o hawa k rakhti hoo'n
Mai jaanti hoo'n k aana nahee kisi ne QAMAR
Magar mundair pe shammey jala k rakhti hoo'n
Labels: Ghazals
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home