Munsoob thay ju loog
Munsoob thay ju loog meri zindagi kay saath
Akser wohi milay hain,bari bayrukhi kay sath
Youn tou main huns para hoon tumharey leye mager
kitnay sietary toot parey eik hunsi kay saath
Fursat mily tou apnaa gareeban bhi deakh lay
Aiey dost youn na khail meri baybusi kay saath
Mujborioun ki baat chali hay tu may hay kahan
Hum nay piya zher bhi akser khushi kay saath
Eaik sujda-e-Khloos kee qeemat fizia-e-Khuld?
Ya Rub na ker mazaq meri zindagi kay saath
Mohsin karam kii lay bhi hoo jis main khloos bhi
mujhko ghazab ka piyar hay us dushmani kay saath

Labels: Ghazals
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home