Apr 5, 2010

NA MAIN PAAS USKO BULA SAKA





Na Main Pass Usko Bula Saka
Na Main Dil ki Baat Suna Saka
Wo Hansi Hansi Main Hi Chal Diya
K Main Haath Tak Na Hala Saka

Mujhe kiya khabar k wo kiya howa
Mujhe kitna ghehra khuumar tha
Main khara tha us k hissar main
Mery ird ghird ghoobar tha
Yunhi sochta raha Dair talak
Magher usko kuch na bata saka
Na main pass usko bula saka
Na main Dil ki baat suna saka

Na hai Dushmahi kisi Din say ab
Na hai Doosti kisi Raat say
Hai Bacha hi kiya jo woh ley gaya
Mujhe cheen kar meri zaat say
ye Muqaam tha hi Ajeeb sa
k main khud ko bhi na Bacha saka
Na main paas usko bula saka
Na main Dil ki baat suna saka

Ye bhi theek hai k wo chal diaya
Mujhe band rasty pe choor kr
Ye bhi theek hai k na aay ga
khabi Butt Anna ka wo torr kr
wo Judda bhi aisy howa
k main koi Rassam bhi na Nibha saka
Na Main Pass Usko Bula Saka
Na Main Dil ki Baat Suna Saka
Wo Hansi Hansi Main Hi Chal Diya
K Main Haath Tak Na Hala Saka

Labels:

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home