Apr 9, 2010

sochta hon aagahi k is safar ne kya diya?






sochta hon aagahi k is safar ne kya diya?
Khoon Jalanay k siwa mere hunar ne kya diya?
meri shak'on se lipat kar aasman tak cho liya
aur ab bailain ye kehti hain shajar ne kya diya?
jis ne apni har khushi ghar ki khushi par waar di
ek wehshat k ilawa us ko ghar ne kya diya?
kab wo shamil ho saka mere kisi ehsaas main
saath chalnay k siwa ek hamsafar ne kya diya?
umar k andhay safar main kaun rakhta hai hisaab
manzilon se kya mil hai rah guzar ne kya diya?
aarzoo'ain kis qadar karti thi dil par aitabaar
aarzoo'on ko dil e na mu'tabar ne kya diya?
shaad dil main har taraf ab khwahishon ka shoor hai
main ne apni ek tamana ko ubharnay kya diya?


Labels:

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home