khush the kuch esay teri rafaqat k shoak me
Khush Thay Kuch Aisey Teri Rafaaqat Ke Shoq Mein
Manzil Ganwa Di Hum Ne Musaafat Ke Shoq Mein
Nafrat Hi Pehrey Daar Mili Har Makaam Par
Jiss Dar Pey Hum Gaey Hain Muhabbat Ke Shoq Mein
Hum Baargah-e-Ishq Mein Maqbool Yoon Huey
Khud Say Bicharr Gaey Teri Qurbat Ke Shoq Mein
Lotey Hain Abb To Saath Hai Ranj-o-Aalam Ki Bheerrh
Nikley Thay Ghar Say Ikk Musarrat Ke Shoq Mein
Apney Chaman Say Raabta Bilkul Nahin Raha
Sehra Noraad Ho Gaey Dolat Ke Shoq Mein
Daaman Mein Hasraton Ke Siwa Kuch Nahin bacha
Aisey Lutey Hain Hum Teri Chahat Ke Shoq Mein !
Labels: Ghazals
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home