Mar 30, 2010

Missing Signs - Funny Photos..

















































Labels: ,

Kise Ki Khatir Mohabbet Ki Intiha Kar Do




kise ki khatir mohabbet ki intiha kar do....
per itna bhi nahi kay usay Khuda kar do....
mat chaho kise ko tot kar itnay kay....
kay usay apni wafaoun say hi bay wafa kar do....

Labels:

Dil Ka Dard




Mehfil may hanskar tanhai may row leyte hain
kisi ko dikhai na day kuch zakhm he asey hotay hain
Tu meri khamoshi ko meri bewafai mat samjna
Kisi ko batta na sakey kuch dard he asey hotay hain

Labels:

Yaad




Kisi ki yad dil mai hai,

koi ehsas baqi hai
,

Badalte mosamo k darmyan ek raz baqi hai,


Abi to mai safar mai hoon,

milen gi manzilen mujh ko,


Magar in raston k beech,

kisi ka sath baqi hai,


Kahin par sham dhalti hai

kahin par rat hoti hai,


Abi to chandni hai

or chand ki rat baqi hai,


Chale ayo kisi din tum,

humara hal bhi dekho,

Humara jism murda hai

magar ek saans baqi hai,


Umeed hai hme phr bhi,

mile ga wo hme ek din,


Khuda par hai bharosa,

Abi KHUDA ki zat baqi hai.....

Labels:

RANJISH





Kahan mumkin tha mein Dill se teri aad Mitta Dita.
Bhalla kaise me Jeete phir agr Tujh ko Bhulla Dita.
Trei Raswai k darr se apni Labon see lia Warrna,
Tere Shahr-e-Munafiq ki mein Bunydin Hilla Dita.
Ki Terq-e-Waffa os ney,to ho gai us ki Majborri,
Jsay Berso ki dua diti,osay kiya Bad Dua Dite.

Labels:

PYAR MUSALSAL





~~KAB TAK KIAY JAO OSAY PYAR MUSALSAL~~

~~WO SHAKS KIAY JA RAHA HAI INKAR MUSALSAL~~

~~OS SHAKS KO MERI MUHABBAT KA ANDAZA NAHE SHAYAD~~

~~OS SHAKHS NAY DEKHA HAI MERA PYAR MUSALSAL~~

Labels:

Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahan Nahin Milta






Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
Kabhi zameen to kabhi aasmaan nahin milta
Dekhiye jise bhi gum hai apne aap main
Zubaan mili hai magar hum-zubaan nahin milta
Bhuja saka hai bhala kaun waqt k shaule ko
Yeh aisi aag hai jisme dhuan nahin milta
Ae rab aisa nahin k tere jahaan main mohabbat nahin
Magar jahaan iski ummeed ho wahan nahin milta

Labels:

YEH BEBASI





YEH BEBASI

Thak chuki hai zindagi,
Ek sehar roz dekar.
Chal toh rahi hai saasein,
Magar zara tham-thamkar.

Khabar nahi khud mujhko,
Yeh dua hai ya koi saza.
Par akele mein roye bagair,
Jeene ka aata bhi toh nahi maza.

Sulag toh rahe hain hum bhi ,
Parwaane ki tarah jal jaana chahate hain.
Shiddat toh hai humme bhi,
Shamma ki tarah pighal jaana chahate hain.

Kya unki khataaon ko denge sazaaein,
Jo humse kar hi na sake wafa.
Gaur na kar meri dil ki sadayein,
Magar pyaar se dekh hi le ek dafa.

Har dum toh who hain maujood,
Phir bhi khalti hai unki kami.
Unki aisi berukhi se,
Naino mein reh jaati hai bas nami.

Arsa sa ho gaya,
Rooh ko unki chooye hue.
Beet gaye kitne baras,
Baton mein unki jeeye hue.

Mila tha yeh rishta bada aziz,
Mujhe khuda se saugaat mein.
De sako aur kuch nahi toh,
Chand lamhe hi de do khairaat mein.

Tootegein nahi ateet ke patte,
Hargiz waqt ki shaakh se.
Ho gaye hain dil kitne maile,
Phir banege nahi ye rishte paak se………………

Labels:

KAHBON MEIN MERY NA TUM AYA KARO






Khabon mein mery na tum aya karo
Meri jaan mujhy na staya karo

Aa kar jo deti ho khushiyan mujhy
To ja kar mujhy na r ulaya karo

Muntazir hon tum sy milny ko main
Intazar mein na mujh ko tarpaya karo

Jajti hai khushi chehry par tery
Dekh kar mujhko bhi muskraya karo

Na chhorna ALI ko kabhi bhi ay dost
Khush reh kar khushian lutaya karo

Labels:

Ussy Yaad Na Aye Hum






Ussy yad na aye hum par us ny humin bhulaya nahi
khushiyan na dy paye humin par kabhi rulaya nahi

Mana k door hai mujh sy par dil k bohat pas hai woh
Pas reh kar bhi, pas aa kar kabhi behlaya nahi

Suljhata tha bal us k jub hota tha woh pas mery
Ab jub door hai mujh sy to khud ko bhi kabhi suljhaya nahi

Woh samajhta kyon nahi k hai ussy koi bohat chhahny wala
Chhupta phirta hy woh mujh sy par samny kabhi woh aya nahi

Mery dil mein chhupy pyar ko woh dekh kyon nahi pata
ALI ny to aaj tak kabhi kisi sy kuch chhupaya nahi

Labels:

lot Aaye






znda they yo kisi ne na pocha halate jigar,
ab mar gae hain to mati main dabane aa gaye,
chor k dunya ko madhosh hue they hum,
wo na jane kya soch k hum ko jagane aa gae,
na jane kis se pucha he wafa ne pta mera,
meri qabar pr bhi hum ko jagane aa gae,
hum to andherey may sone k aadi the,
aur wo bewafa qabar pr diya jalane aa gae,
zinda they to ek nazar na dekha pyar se,
mar gai hain to qabar pr aansu Bahanay aa gae........

Labels:

Woh Lamhe Woh Yaadain







Woh school ki parhai,
Woh pyar bhari baatain,

Woh slebus ki tension,
Woh exams ki raatain,

Woh canteen ki party,
Woh frnds ki latain,

Woh Rothna manana,
Woh bunk-mulaqatain,

parposal ki planning may Woh raat ka guzarna,
Phir class ki piche ki seat par sona,

Bay-tuki baaton ko serious lena,
Woh matlab ki batain hansi main urra dena,

Na woh din he Na raat,
Na ghusa Na baatain,

Agar kuch hai to bus,
Yaadain Hi Yaadain......

Labels:

Ya Khuda Mujhay Mauf Karday






NA BANATA MUJHAY INSAAN,FARISTA BANA DIYA HOTA,
TAKAY MOHABBAT KAY JAZBAY SAY MEIN BEGANA HOTA.
NA USSAY DEKHTA NA HOTI PANAY KI HASRAT.
NA USSAY CHAHTA NA TUJHAY BHOLA HOTA.

USKAY HAR ROOP MEIN,MEIN NAY TUJHI KO PAYA THA.
WOH FAQAT INSAAN THA MEIN NAY USSAY APNA KHUDA BANAYA THA,
ISHQ EBADAT HAI YEHI SUNA THA AZAAL SAY MEIN NAY,
TERE CHAHAT KI JAGAH USSKI CHAHAT KO DIL MEIN BASAYA THA.

WOH BEWAFA THA,PAR KHETA HOON KAY MUJHAY DOR KIYA HAI US SAY,
USKI CHAHAT MEIN BHOOL GAYA THA MEIN TO TUJAY,
AB TO HAR WAQAT BAS YEHI DUA KARTA HOON,
MERE AZZAB ZINDAGI KO KHATAM KAR KAY
YA KHUDA MUJHAY MAUF KAR DAY.

Labels:

Zameen Pe Chal Na Ska






Zameen pe chal na ska, aasman se b gya
Kaat k per ko parinda urran se b gya

Tbah kar geiy mujhe pakke makaan ki khawaish
Mein apne gaoon k kache makaan se b gya

Bhulana chaha tou bhulaane ki hudh kar di
Ab wo shakhs mere mehm-o-gumaan se b gya

Kisi k haath se nikla hua wo teer hoon mein

Jo nishaane ko chhoo na ska aur kamaan se b gya

Labels:

Bewafai





Dil lagi thi usse hum se mohabbat kub thi
Mehfil-e-ghair se usse fursat kub thi

Hum thay mohabbat mein lut jaane k qayal
Uss k wadoun mein wo haqeeqat kub thi

Wo waqt guzaarne k liye karta tha pyar ki baaten
Warna meri khatir uss k dil mein chahat kub thi

Bohat roka magar nikal aate kam-bakht aansu
Bazm-e-yaad mein aansu bahaane ki ijazat kub thi

Khuda jaane kis ki yaad mein hua hai wo behaal
Warna mere ishq mein uss ki aisi haalat kub thi

Labels:

RAAT SE DIN





UN k kehne par ghar k kachay rastay par,

Humne itne deep jalaye,
K,,
Roshni ki had dekh kar wo,
Is,
Pareshani mai wapas lot gaye,
K,
Raat ka wada tha ab to Din nikal aaya hai,,,,

Labels:

Pilao Itni Aaj






Pilao itni aaj kay koi hesret na reh jaye
Aye saqi meray dil ko makhana ker day

Thori pilayi to ye khauf rehay ga mujh main
KAy hosh main woh mujh ko phir say begana ker day

Mujhe to aadet ha un kay hathon say zehr peenay ki
Tu aaj un say koi behana ker day

Apni ankhon main na daikh seku un ko
In ankho ko kisi aur ka thekana ker day

Ager khushi kay mozu pay aj guftugu ho jaye
Kay kuch keh paoon kuch aesa pilana ker day

Arzu ka to met pooch sharabi say
Jo hoye mest to shama ko b perwana ker day

Jo aya hosh to is umeed say gher lot jaye ga Syed
Kay woh zalim b apnay zulm ka jurmana... bher day...

Labels:

MERA DARD KOI NA SAMAJH SAKA






DUA MANGI THI ASIYANE KI,
CHAL PARI ANDHIYA ZAMANE KI,
MERA DARD KOI NA SAMAJH SAKA,
KIYON K,
MERI ADDAT THI HAR PAL MUSKURANE KI.......

Labels:

Ab Ki Baar Main Sajna Aa Nhi Paon Ga.





ab ki baar main sajna
aa nhi paon ga

apni cheezon ka ab tum
khud hi khiyaal rakhna
haseen chandni raaton mein
khubsoorat dil kash barsaaton mein
tum muj ko yaad karna na
k
ab ki baar main sajna
aa nhi paon ga

aangan mein lage phoolon ko ab
tum khud hi seraab karna
palkon ko apni par tum ab
zer-e-aab karna na
k
ab ki baar main sajna
aa nhi paon ga

shakhon pe lagi konplein
jab phoolon mein badal jain gi
aur khushbooein in phoolon ki
tere aas paas bikhar jain gi
aanchal ko apne mere liye
phoolon se ab k barna na
k
ab ki baar main sajna
aa nhi paon ga

jo mann ho muj se milne ka
meri nazmon ko tum parah karna
main khud sunaon yeh nazmein
yeh zid kabi ab karna na
k
ab ki baar main sajna
aa nhi paon ga

K AB KI BAAR MAIN SAJNA AA HI NHI PAON GA

Labels:

Muje Tanha Chor Kar






Muje tanha chor kar,
Js ko me ne chaha tha,
Sari hadin tor kar kar,
Aj us ne hame dekha tak nhe,
Apni nighahain mor kar,
Guzre jab wo mere pas se,
To dukh huwa ye jan kar,
K wo fard bi Tanha ho gaya,
Muje Tanha Chor Kar

Labels:

Tere Naam Ker Du




Sochta hu k seb kuch he teray nam ker du
Phir apni muhebet ki kehani ko ser e aam ker du

K tu mujhe itna ruswa hotay hue daikhay
May is tarah say ishq ko thora bednam ker du

Main akser teri yad main khoon k ansu rota tha
JO hota to jiger ka khoon bhi teray nam ker du

K is say ber ker kya ishq ki keemet ho sekti ha
Isi soch main teray ishq ko neelam ker du

Jo legi keemet to dil bhi baich du ga sath
Keho to apnay ap ko bhi gumnam ker du

Ab shaid SYED ka yaqeen nai reha ha ishq pay
Werna kehtay to her ishq ka paigham teray nam ker du

Labels:

Arsa Beeta Ho Jaise






Arsa beeta ho jaise khusiyan dekhe
zamana beeta hai hansi tu ati nehi

lab muskurate hain dil jhilmilate hain
waqt beet jata hai yuhin shamain beet jati hain

or phir dukh bari tanhai ati hai
asey he jagte jagte raat beet jati hai

phir wohi subha ati hai
naya sawera lati hai or neend ajati hai.

Labels:

Dost Ban Kar Bhi Nahiin Saath Nibhane Wala





dost ban kar bhii nahiin saath nibhane wala
vahii andaaz hai zaalim kaa zamaanevaalaa

ab ise log samajhate hain giraftaar meraa
saKht nadiim hai mujhe daam main laanevaalaa

kyaa kahain kitane maraasim the hamaare is se
wo jo ik shaKhs hai monh pher ke jaanevaalaa

tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa
aaj tanhaa hon to koii nahiin aanevaalaa

muntazir kis kaa hon TuuTii huii dahaliiz pe main
kaun aayegaa yahaan kaun hai aanevaalaa

main ne dekhaa hai bahaaron main chaman ko jalate
hai koii Khvaab kii taabiir bataanevaalaa

kyaa Khabar thii jo merii jaan main ghulaa hai itanaa
hai vahii mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa

tum taqalluf ko bhii iKhalaas samajhate ho 'Faraz'
dost hotaa nahiin har haath milaanevaalaa

Labels:

Saari Umar Kis Ko Ma






Woh skeks ek pel k liye bhi meri geliyo say na guzra
Sari umar jis ko ma apna pata daita reha

Hesret rehi ke kash woh ek pel hi mukura day
Sari umar jis ko ma ro ro k sada daita reha

Hesret rehi ke kash woh bedua hi day day
Sari umar jis ko ma dil say dua deta reha

Shaid woh sheks andhero ka tha pujari
Sari umar jis ko ma chiragh e shama daita reha.

Labels:

Kabhi Bhulayo Gy Nahi




Karo wada kih mujhy kabhi bhulayo gy nahi
Jo sath chaly ho to sath chhor jayo gy nahi

Mery chehry ko jo naya roop dia hai
To muskarahat dy kar kabhi rulayo gy nahi

Jo tum khud bulayo mujhy kahin aa milny ko
Thukra kar jany ka kaho,phir bulayo gy nahi

Tum faisla kar lo abhi, pyar kar lo abhi
Waqt guzar gya to kuch teh kar payo gy nahi

Jo ALI ka sath chhor jany ko bazid ho tum
To chhor kar mujhy phr kabhi pachhtayo gy ni

Labels:

Be Naam Musafat




Be naam musaftun k zakham dil main chupaiye,
Gumshuda manzilon k nishan liye phirta hon,

ab tu garam suraj tale siyeban mil jaiye kahin,
dar badar ki thokrien khaiye hue phirta hon....

Labels: